Akhtar Hoshiyarpuri

kya puchhte ho mujhse ki main kis nagar ka tha

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
kyā pūchhte ho mujh se ki maiñ kis nagar kā thā
jaltā huā charāġh mirī rah-guzar kā thā
ham jab safar pe nikle the tāroñ kī chhāñv thī
phir apne ham-rikāb ujālā sahar kā thā
sāhil kī giilī ret ne baḳhshā thā pairahan
jaise samundaroñ kā safar chashm-e-tar kā thā
chehre pe uḌtī gard thī bāloñ meñ raakh thī
shāyad vo ham-safar mire ujḌe nagar kā thā
kyā chīḳhtī havāoñ se ahvāl pūchhtā
saaya hī yādgār mire ham-safar kā thā
yaksāniyat thī kitnī hamāre vajūd meñ
apnā jo haal thā vahī aalam bhañvar kā thā
vo kaun thā jo le ke mujhe ghar se chal paḌā
sūrat ḳhizar kī thī na vo chehra ḳhizar kā thā
dahlīz paar kar na sake aur lauT aa.e
shāyad musāfiroñ ko ḳhatar bām-o-dar kā thā
kachche makān jitne the bārish meñ bah ga.e
varna jo merā dukh thā vo dukh umr bhar kā thā
maiñ us galī se kaise guzartā jhukā ke sar
āḳhir ko ye muāmla bhī sañg-o-sar kā thā
logoñ ne ḳhud hī kaaT diye rāstoñ ke peḌ
'aḳhtar' badaltī rut meñ ye hāsil nazar kā thā
Top Urdushayar.com