raat tārīk rāste ḳhāmosh
manziloñ tak haiñ qumqume ḳhāmosh
ārzūoñ ke Dhe ga.e ahrām
hasratoñ ke haiñ maqbare ḳhāmosh
dil ke ujḌe nagar se guzre haiñ
kitnī yādoñ ke qāfile ḳhāmosh
muntazir the jo merī aamad ke
haiñ muñDeroñ pe vo diye ḳhāmosh
mere mustaqbil-e-mohabbat par
zindagī ke haiñ tajribe ḳhāmosh
zehn-e-āzar hai ḳhvāb-gāh-e-jumūd
fikr-o-fan ke haiñ but-kade ḳhāmosh