ajnabiyyat kā har ik ruḳh pe nishāñ hai yaaro
apne hī shahar meñ ġhurbat kā samāñ hai yaaro
āsmānoñ meñ lachaktī huī ye qaus-e-quzah
bhes badle hue rāvan kī kamāñ hai yaaro
ik siyāsat hai ki hai dair-o-haram kī mahbūb
ik mohabbat hai ki rusvā-e-jahāñ hai yaaro
ahl-e-dil rah ga.e āsār-e-qadīma ho ke
zindagī ek shikasta sā makāñ hai yaaro
dil hī shā.ista-e-gul-gasht nahīñ hai varna
ye zamīñ aaj bhī firdaus-e-javāñ hai yaaro