hasb-e-ma.amūl aa.e haiñ shāḳhoñ meñ phuul ab ke baras
saya-afgan haiñ magar un par babūl ab ke baras
is tarah badlā mohabbat kā usuul ab ke baras
ham bhī haiñ maġhmūm tum bhī ho malūl ab ke baras
jhoñpaḌoñ se kaT ke chāñdī ke bagūle chal diye
baalā baalā uḌ ga.ī sone kī dhuul ab ke baras
itne ġham itne masā.il itne unvān-e-soḳhan
hai judā har sher kī shān-e-nuzūl ab ke baras
kaT ga.iiñ sadiyāñ isī mauhūm sī ummīd par
āsmāñ se hogā rahmat kā nuzūl ab ke baras
miT ga.ī tahrīr-e-qismat uTh ga.e anjum-shanās
aql ḳhud kartī hai tadbīr-e-husūl ab ke baras
inqilāb-āsār hai raftār māh-o-sāl kī
kuchh to badlegā zamāne kā usuul ab ke baras