shahpāra-e-adab ho agar vārdāt-e-dil
naqsh-o-nigār-e-fikr meñ ho jaa.e muntaqil
thā e'tibār-e-zabt magar aaj nā-gahāñ
ḳhud vo taḌap uThe haiñ kuchh aisā dukhā hai dil
lutf-o-karam kī ab vo tamannā nahīñ rahī
kis daur meñ huī hai tirī chashm munfa.il
thī aarzū sakūñ kī magar is qadar nahīñ
is shiddat-e-ḳhulūs se ghabrā gayā hai dil
kis vaqt yaad aa.ī hai daur-e-nashāt kī
māhaul bhī udaas tabī.at bhī muzmahil
muddat ke ba.ad aaj mile bhī to is tarah
kuchh ham bhī sharmsār haiñ kuchh vo bhī haiñ ḳhajil