Akhtar Hoshiyarpuri

maine yun dekha use jaise kabhi dekha na tha

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
maiñ ne yuuñ dekhā use jaise kabhī dekhā na thā
aur jab dekhā to āñkhoñ par yaqīñ aatā na thā
bām-o-dar se saḳht bārish meñ bhī uTThegā dhuāñ
yuuñ bhī hotā hai mohabbat meñ kabhī sochā na thā
āñdhiyoñ ko rauzan-e-zindāñ se ham dekhā kiye
duur tak phailā huā sahrā thā naqsh-e-pā na thā
log laa.e haiñ kahāñ se shab ko marmar ke charāġh
un chaTānoñ meñ to din ko rāsta paidā na thā
shahr kī hañgāma-ārā.ī meñ kho kar rah gayā
maiñ ki apne ghar meñ bhī mujh ko sukūñ miltā na thā
barf apne-āp ghul jaatī hai sūraj ho na ho
shaam se pahle ye jaanā thā magar samjhā na thā
un dinoñ bhī shahr meñ sailāb aate the bahut
vādiyoñ meñ jab kahīñ bādal abhī barsā na thā
raat kī tanhā.iyoñ meñ jis se chauñk uTThe the ham
apnī hī āvāz thī sho.ala koī chamkā na thā
vo bhī sach kahte haiñ 'aḳhtar' log begāne hue
ham bhī sachche haiñ ki duniyā kā chalan aisā na thā
Top Urdushayar.com