Iqbal Mahir

rah donon ki wahi hai samna ho jaega

Iqbal Mahir

Allahabad, Uttar pradesh, India

1919
raah donoñ kī vahī hai sāmnā ho jā.egā
hogā nazroñ kā tasādum hādisa ho jā.egā
tum se chhūTā bhī agar to zindagī hai ik safar
saath mere aur koī dūsrā ho jā.egā
dil kī uftād-e-tabī.at ko bhalā rokegā kaun
phir kisī ġham meñ kisī din mubtalā ho jā.egā
qāfile vāloñ meñ tablīġh-e-safar karte raho
kuchh na kuchh to rahbarī kā haq adā ho jā.egā
us se be-maqsad bhī tum yuuñ hī agar milte rahe
vo ġhalat-fahmī meñ ik din mubtalā ho jā.egā
kyā ḳhabar thī ik sarā.e ke musāfir kī tarah
ham-safar hogā vo merā phir judā ho jā.egā
azm-e-manzil hai to 'māhir' be-ḳhatar baḌhte chalo
un chaTTānoñ meñ bhī paidā rāsta ho jā.egā
Top Urdushayar.com