bagūloñ kī safeñ kirnoñ ke lashkar sāmne aa.e
qadam uTThe jidhar zaḳhmoñ ke patthar sāmne aa.e
thakan se TuuT kar jab ḳhvāb-e-rāhat kī tamannā kī
ridā-e-ġham liye kāñToñ ke bistar sāmne aa.e
darīda bādbāñ kamzor kashtī raat tūfānī
dahan khole syāhī ke samundar sāmne aa.e
talāsh-e-āb-e-haivāñ meñ jahāñ mere qadam pahuñche
vahāñ zahrāb se labrez sāġhar sāmne aa.e
ġharīb-e-shahr kis ke āstāne par sadā detā
ka.ī ghar raah meñ dekhe ka.ī dar sāmne aa.e
mire ḳhuddār lab par jab kabhī lafz-e-anā aayā
mirī qīmat lagāne kīsa-e-zar sāmne aa.e
mizāj aisā hai kuchh 'māhir' muravvat aa hī jaatī hai
koī shātir agar ma.asūm ban kar sāmne aa.e