gul kī ḳhushbū kī tarah aañkh ke aañsū kī tarah
dil pareshān hai gard-e-ram-e-āhū kī tarah
jo gul-andām makīnoñ ko taraste haiñ hanūz
shahar meñ kitne khañDar haiñ mire pahlū kī tarah
zulf-e-gītī ko bhī ā.īna-o-shāna mil jaa.e
tum sañvar jaao jo ārā.ish-e-gesū kī tarah
raqs kartā hai zar-o-sīm kī jhankār pe fan
marmarīñ farsh pe bajte hue ghuñghrū kī tarah
aaj bhī shobda-e-ahl-e-havas hai insāf
dast-e-baqqāl meñ purkār tarāzū kī tarah
mahsharistān-e-sukūñ hai mirī hastī 'māhir'
kisī shahbāz ke TuuTe hue baazū kī tarah