Iqbal Mahir

ahl-e-fan ahl-e-adab ahl-e-qalam kahte rahe

Iqbal Mahir

Allahabad, Uttar pradesh, India

1919
ahl-e-fan ahl-e-adab ahl-e-qalam kahte rahe
bad-zabāñ ko ham zabān-dān-e-ajam kahte rahe
jabr-o-istibdād ko jūd-o-karam kahte rahe
sabr-o-tā.at ko ilāj-e-dard-o-ġham kahte rahe
ham ko har mahfil meñ thā ādāb-e-mahfil kā ḳhayāl
ehtirāman har kisī ko mohtaram kahte rahe
chashm-poshī se riyā-kārī ko shah miltī rahī
aib-poshī ko sharāfat kā bharam kahte rahe
ārzū-e-maz.hab-o-millat bhī rakhnī thī zarūr
nañg-e-mimbar ko bhī ham shaiḳh-e-haram kahte rahe
vo bhī nikle rahnumāoñ ke nuqūsh-e-kajravī
jin ko raahī rāste ke pech-o-ḳham kahte rahe
bārhā dekhā hai 'māhir' un ko maġhmūm-o-malūl
ham jinheñ parvurda-e-nāz-o-ni.am karte rahe
Top Urdushayar.com