nazar nazar meñ tamannā qadam qadam pe gurez
jahāñ jahāñ bhī mile kohkan vahīñ parvez
ghaTā ghaTā sā dhuñdlakā hai qasr-o-aivāñ meñ
nikal chalo jahāñ maidāñ meñ raushnī hai tez
tire karam pe bhī andesha-hā-e-dūr-o-darāz
mile haiñ jām-o-subū vo bhī zahr se labrez
numūd-e-ḳhār-e-muġhīlāñ hai bāġhbāñ ko pasand
zamīn-e-lāla-o-gul varna hai bahut zarḳhez
sukūñ milā hai kanīzoñ ko ḳhvāb-e-shīrīñ kā
jo kohkan ne sambhālī hai daulat-e-parvez
taġhayyurāt-e-ḳhayālāt irtiqa-e-hayāt
tasādum-e-nazariyāt fitna-e-chañgez
guzar rahe haiñ shab-o-roz is tarah 'māhir'
na zindagī se mohabbat na zindagī se gurez