chand fiqre zer-e-lab taḌpā kiye
vo hameñ aur ham unheñ dekhā kiye
ġham thā apnī bad-nasībī kā unheñ
der tak kuchh lafz kal royā kiye
mere qadmoñ meñ rahī manzil mirī
rāste sūrat mirī dekhā kiye
ġham bhī ik ne.amat hai lekin dosto
ham use paayā kiye khoyā kiye
mujh se mil kar kal mire ahbāb bhī
der tak kyā jaane kyā sochā kiye
jis se rahtī thī munavvar ye zamīñ
āsmāñ vo chāñd taare kyā kiye
āsmānoñ kī taraf chal dī zamīñ
ham añdhere ġhaar meñ soyā kiye
mil na paayā zindagī kā kuchh surāġh
muddateñ guzrīñ hameñ pīchhā kiye
chal diyā ik aur patta TuuT kar
āñdhiyoñ ke dosh par takiya kiye
koī bhī dhartī na raas aa.ī hameñ
ham ḳhalāoñ meñ 'zafar' dekhā kiye