qadam qadam pe ajab ḳhauf sā guzartā hai
vo apne gaañv meñ jaate hue bhī Dartā hai
havā.eñ chalne lagī haiñ chahār-jānib se
sambhālnā ki har ik silsila bikhartā hai
kabhī jhiñjhoḌ ke rakh detā hai tamām badan
kabhī vo dil meñ dabe paañv bhī utartā hai
bajā.e us ke ki mujh ko bhī jagmagā detā
vo chāñd ho ke mirī tīrgī se Dartā hai
utar rahā huuñ maiñ tanhā.iyoñ ke dariyā meñ
ye dekhnā hai pas-e-āb kyā ubhartā hai
ye dhuup jism jalā degī Thiik hai lekin
yahāñ pe kaun bhalā apnī maut martā hai