kuchh naqsh huvaidā haiñ ḳhayāloñ kī Dagar se
shāyad kabhī guzrā huuñ maiñ is rāh-guzar se
galiyāñ bhī haiñ sunsān darīche bhī haiñ ḳhāmosh
qadmoñ kī ye āvāz dar aa.ī hai kidhar se
tāqoñ meñ charāġhoñ kā dhuāñ jam sā gayā hai
ab ham bhī nikalte nahīñ ujḌe hue ghar se
kyuuñ kāġhzī phūloñ se sajātā nahīñ ghar ko
is daur ko shikva hai mire zauq-e-hunar se
saa.e kī tarah koī ta.āqub meñ ravāñ hai
ab bach ke kahāñ jā.eñge ik sho.abda-gar se
'aḳhtar' ye ghane abr baḌe tañg-nazar haiñ
uTThe haiñ jo dariyā se to dariyā pe hī barse