Zafar Zaidi
Unnao, Uttar pradesh, India
1950-1983raat ko maiñ ne ḳhvāb ajab sā dekhā hai
aage aag hai raushan pīchhe dariyā hai
kamre ke andar to ghuTan hai uljhan hai
bāhar jhāñk ke dekheñ mausam kaisā hai
saare rishte toḌ ke ham to aa.e the
phir ye beach hamāre jhagḌā kaisā hai