is tarah TuuT kar girā paanī
bādaloñ meñ nahīñ bachā paanī
ghar banāyā to thā bulandī par
phir bhī āñgan meñ bhar gayā paanī
laḌ-jhagaḌ kar kabhī to aag banā
aur kabhī barf ban gayā gayā paanī
mujh ko apne hī shahr kā yaaro
raas aayā nahīñ havā paanī
log dīvāna-vār TuuT paḌe
muddatoñ ba.ad jab milā paanī
haath thāme hue havāoñ kā
rāste meñ hameñ milā paanī
ek bhī buuñd khet ko na milī
sab havāoñ ne pī liyā paanī
le ke chullū meñ maiñ ne pheñk diyā
muñh mirā dekhtā rahā paanī
muddatoñ se maiñ tishna-lab thā 'zafar'
phir bhī sab ko pilā diyā paanī