Diya Jeem

jaisa kahta hai tu waisa nahin karne wali

Diya Jeem

Multan, Punjab, Pakistan

1973
jaisā kahtā hai tū vaisā nahīñ karne vaalī
ab tire saath maiñ achchhā nahīñ karne vaalī
aise dekho nā mohabbat kā gumāñ hotā hai
va.ada lenā hai to va.ada nahīñ karne vaalī
mujh se vāqif ho to inkār ye karte kyuuñ ho
maan lo pyaar ko rusvā nahīñ karne vaalī
mire āñgan ke sabhī phuul bahut mahñge haiñ
apne gulshan ko maiñ sahrā nahīñ karne vaalī
tū majāzī hai haqīqī to nahīñ hai merā
so tire ishq meñ sajda nahīñ karne vaalī
merī fitrat meñ mohabbat hī faqat gūñdhī ga.ī
apnī fitrat se kināra nahīñ karne vaalī
chāñd āñkhoñ meñ liye phirtī huuñ maiñ aaj 'diyā'
ashk palkoñ kā sitāra nahīñ karne vaalī
Top Urdushayar.com