zabāñ pe aane se pahle kahī ga.ī huuñ maiñ
kisī ḳhayāl meñ kho kar bunī ga.ī huuñ maiñ
mire ḳhayāl kī dahlīz itnī ūñchī hai
ki āsmāñ ke barābar chunī ga.ī huuñ maiñ
mirā ġhurūr mirī vahshatoñ pe haavī hai
kuchh aise vasf se mumtāz kī ga.ī huuñ maiñ
mire vajūd meñ pahroñ sukūt rahtā hai
na jaane kis kī sadā meñ guñdhī ga.ī huuñ maiñ
mire ḳhayāl se jal jaate haiñ charāġh-e-sahar
ki tāq-e-shams-o-qamar par rakhī ga.ī huuñ maiñ
vo roz ḳhvāb ke rauzan se dekhtā hai mujhe
ajiib Dor hai jis se bañdhī ga.ī huuñ maiñ
sabhī ke dil meñ 'diyā' pyaar kā jalātī huuñ
varaq varaq pe ujālā likhī ga.ī huuñ maiñ