aap ke va.ade kisī kal se bañdhe rahte haiñ
chāhne vaale usī pal se bañdhe rahte haiñ
tañg aa jaatī haiñ pallū se lagī girheñ bhī
kaise rishte haiñ jo malmal se bañdhe rahte haiñ
sub.h kī shabnamī palkoñ ko masalte hue haath
ik na.e ḳhvāb kī koñpal se bañdhe rahte haiñ
khaTTī mīThī sī koī baat laboñ meñ le kar
muñh ko Dhāñpe hue āñchal se bañdhe rahte haiñ
sirf mere hī bayābāñ pe paḌī os nahīñ
ashk dariyāoñ ke bādal se bañdhe rahte haiñ
shaam kī zulfeñ bikharne se ayaañ hotā hai
kitne jugnū haiñ jo kājal se bañdhe rahte haiñ
zindagī sone kī mohlat nahīñ detī hai 'diyā'
ḳhvāb ta.abīr ke āñchal se bañdhe rahte haiñ