chehra batā rahā hai rātoñ ko jāgte ho
kaisī thakan milī hai hañs kar utārte ho
kis ke qadam paḌe the kaise nishāñ paḌe haiñ
kis ke ġhamoñ kī miTTī āñgan se jhāḌte ho
likkho kabhī ki mujh ko tum yaad kar rahe ho
masrūfiyat ke lamhe bhī mujh pe vārte ho
chhoḌā thā tum ne jaisā Thahre hue haiñ ab tak
aur tum galī galī meñ ham ko pukārte ho
ruḳhsat karo nā hañs kar āñkhoñ se do duā.eñ
jaane pe mere aise kyoñ muñh bigāḌte ho
taare hue haiñ maddham chandā chalā gayā hai
yaañ raat ho chukī hai tum din guzārte ho
mausam huā hai barham bechain haiñ fazā.eñ
aise meñ tum 'diyā' kī zulfeñ sañvārte ho