jo kar rahe the zamāne se gumrahī kā safar
unhīñ ke naam kiyā haq ne bandagī kā safar
jahāñ pe log añdhere sajā.e baiThe the
vahāñ pe aaj bhī jaarī hai raushnī kā safar
abhī hai vaqt sambhal jaao ai jahāñ vaalo
kahīñ tamām na ho jaa.e aadmī kā safar
maiñ apnī zaat kā hissa jise samajhtā huuñ
mire ḳhudā kī hai baḳhshish vo āgahī kā safar
usī kā saath ḳhudāyā mujhe mayassar ho
mohabbatoñ kā rifāqat kā zindagī kā safar
ye ek kāhkashāñ hī nahīñ mirī manzil
ki us ke ba.ad bhī baaqī hai raushnī kā safar