ḳhayāl meñ bhī kabhī jab vo ḳhush-libās aa.e
mahakte phūloñ kī ḳhushbū bhī ās-pās aa.e
vafā mohabbatoñ īsār kī kitāboñ meñ
hamāre pyaar ke qissoñ meñ iqtibās aa.e
vafā ḳhulūs adā husn zulf aur naġhma
ḳhudā kare yahī lahja ġhazal ko raas aa.e
urūj-e-dār sabhī ko nahīñ huā hāsil
na jaane kitne zamāne meñ haq-shanās aa.e
hamāre azm ne tūfāñ ke ruḳh badal Daale
muḳhālifat kī havā aa sake to paas aa.e
ġharīb bhuuk kī Thokar se ḳhuun ḳhuun hue
kisī amiir ko ab to lahū kī baas aa.e