insāñ ko apnī zaat kā idrāk hī nahīñ
ab koī vārdāt alamnāk hī nahīñ
mazlūm ke lahū kā na ho jis pe koī daaġh
aisī sipāh-e-vaqt kī poshāk hī nahīñ
is daur meñ hifāzat-e-īmāñ ke vāste
haidar kī misl teġh-e-ġhazabnāk hī nahīñ
a.amāl haiñ siyāh hamāre magar hameñ
shikva hai meharbānī-e-aflāk hī nahīñ
rahmat ḳhudā kī josh meñ aa.e to kaise aa.e
sailāb-e-ashk-dīda-e-nam-nāk hī nahīñ
pahle buland kartā thā 'anvar' sadā-e-haq
lekin ab is meñ jur.at-e-be-bāk hī nahīñ