apne ghar se to chalā thā maiñ shikāyat le kar
us ke ghar pahuñchā magar us kī mohabbat le kar
ek ehsās-e-junūñ mujh ko liye jaatā hai
lauT aa.egā na.ī phir koī vahshat le kar
hijr kahte haiñ kise ye mujhe ma.alūm nahīñ
kyā karūñgā maiñ tujhe ai shab-e-furqat le kar
dil meñ rahtā hai koī jazba-e-sādiq kī tarah
koī aa.e to dikhāve kī mohabbat le kar
merā ghar hai ki farishtoñ kā koī maskan hai
kyā karūñgā maiñ kisī aur kī jannat le kar