Anvar Kaifi

ye daur mohabbat ka lahu chaT raha hai

Anvar Kaifi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1946
ye daur mohabbat kā lahū chaaT rahā hai
insān kā insān galā kaaT rahā hai
dekho na hameñ aaj hiqārat ki nazar se
yaaro kabhī apnā bhī baḌā ThaaT rahā hai
pahle bhī mayassar na thā mazdūr ko chhappar
ab naam pe dīvār ke ik TaaT rahā hai
dekhā hai jise aap ne nafrat kī nazar se
nafrat kī ḳhalījoñ ko vahī paaT rahā hai
hairān huuñ kyā ho gayā us shaḳhs ko 'anvar'
jis Daal pe baiThā hai use kaaT rahā hai
Top Urdushayar.com