Akhtar Hoshiyarpuri

aag chulhe ki bujhi jati hai

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
aag chūlhe kī bujhī jaatī hai
chāñdnī hai ki khilī jaatī hai
jis qadar nīche utartā huuñ maiñ
jhiil bhī gahrī huī jaatī hai
gard uThī hai jo mirī Thokar se
ek dīvār banī jaatī hai
pahre hoñToñ pe biThāne vaale
baat āñkhoñ se bhī kī jaatī hai
log sāhil pe khaḌe dekhte haiñ
naav kāġhaz kī bahī jaatī hai
Top Urdushayar.com