Zafar Moradabadi

be-qanaat qafile hirs-o-hawa oDhe hue

Zafar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1951
be-qanā.at qāfile hirs-o-havā oḌhe hue
manzileñ bhī kyuuñ na hoñ phir fāsla oḌhe hue
is qadar ḳhilqat magar hai maut ko fursat bahut
har bashar hai aaj ḳhud apnī qazā oḌhe hue
un ke bātin meñ milā shaitān hī masnad-nashīñ
jo ba-zāhir the bahut nām-e-ḳhudā oḌhe hue
kyā kare koī kisī se pursish-e-ahvāl bhī
aaj sab haiñ apnī apnī karbalā oḌhe hue
kyā ḳhabar kis moḌ par bikhre matā-e-ehtiyāt
pattharoñ ke shahr meñ huuñ ā.īna oḌhe hue
sab dilāse us ke jhūTe us ke sab vaade fareb
kab tak āḳhir ham raheñ sabr-o-razā oḌhe hue
kyuuñ tazabzub meñ na hoñ is daur ke ahl-e-nazar
gumrahī hai āgahī kā falsafa oḌhe hue
uñgliyāñ majrūh ho jā.eñgī rahnā duur duur
ḳhaar bhī haiñ in dinoñ gul kī ridā oḌhe hue
Dhaal us kī ban ga.ī hai sab balāoñ ke ḳhilāf
ghar se jo niklā buzurgoñ kī duā oḌhe hue
baḳhshishoñ se jis kī ḳhaas o aam sab the faiz-yāb
ham bhī the us bazm meñ lekin anā oḌhe hue
fasl-e-gul aa.ī to vīrāne bhī mahke har taraf
aaj ḳhud ḳhushbū ko thī bād-e-sabā oḌhe hue
ik zamīñ hī tañg kyā thī us se jab bichhḌe 'zafar'
āsmāñ bhī thā ġhazab-parvar ghaTā oḌhe hue
Top Urdushayar.com