Zafar Moradabadi

kabhi dua to kabhi bad-dua se laDte hue

Zafar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1951
kabhī duā to kabhī bad-duā se laḌte hue
tamām umr guzārī havā se laḌte hue
hue na zer kisī intihā se laḌte hue
mahāz haar ga.e ham qazā se laḌte hue
bikhar rahā huuñ fazā meñ ġhubār kī sūrat
ḳhilāf-e-maslahat apnī anā se laḌte hue
fazā badalte hī jaag uTThī fitrat-e-mai-kash
shikast khā ga.ī tauba ghaTā se laḌte hue
qalam kī nok se bahtā rahā lahū merā
hisār-e-ḳhilqat-e-fikr-e-rasā se laḌte hue
junūñ navard ko manzar na koī raas aayā
marā to shoḳhi-e-āb-o-havā se laḌte hue
pahuñch sake na kisī ḳhush-gavār manzil tak
tumhārī yaad kī zanjīr-e-pā se laḌte hue
unhīñ pe band huā irtiqā kā darvāza
fanā hue haiñ jo apnī baqā se laḌte hue
'zafar' ghire to usī razm-e-gāh-e-hastī meñ
hue shahīd saf-e-karbalā se laḌte hue
Top Urdushayar.com