Farooq Engineer

pareshan bhi karegi gul khila ke

Farooq Engineer

Shekhawati, Rajasthan, India

1960
pareshāñ bhī karegī gul khilā ke
tamāshe dekhte rahnā havā ke
yahīñ jannat yahīñ goyā jahannam
tū hī ab soch ai bande ḳhudā ke
bulāte vo agar to kyā na jaate
girafta yuuñ bhī kab the ham anā ke
guloñ par kāñpte shabnam ke qatre
larazte harf hoñToñ par duā ke
havas kī aag ne jhulsā diyā hai
hameñ chalnā thā kuchh dāman bachā ke
hai kis ke lams kī ḳhushbū guloñ meñ
dhanak meñ rañg haiñ kis kī adā ke
Thaharte haiñ zarā palkoñ pe aañsū
sitāre TūTte haiñ jhilmilā ke
koī parde ke pīchhe boltā thā
magar ham ḳhush hue the lab hilā ke
hamārī jaan par ban aa.ī lekin
kahāñ hai mutma.in vo aazmā ke
kabhī khul kar miyāñ-'fārūq' hañs do
ye kyā rah jaate ho tum muskurā ke
Top Urdushayar.com