nigāh-e-husn-e-mujassam adā ko chhūte hī
gañvā.e hosh bhī us dilrubā ko chhūte hī
tamām phuul mahakne lage haiñ khil khil kar
chaman meñ shoḳhi-e-bād-e-sabā ko chhūte hī
mashām-e-jāñ meñ ajab hai surūr kā aalam
tasavvurāt meñ zulf-e-dotā ko chhūte hī
nigāh-e-shauq kī sab uñgliyāñ sulag uTThīñ
gulāb jism kī rañgīñ qabā ko chhūte hī
nazar ko hech nazar aa.e sab hasīñ manzar
bas ik shuā-e-ruḳh-e-jāñ-fazā ko chhūte hī
jo āñsuoñ se huī bā-vazū akele meñ
dar-e-qubūl khulā us duā ko chhūte hī
nahā.īñ shiddat-e-ehsās ke ujāle meñ
samā.ateñ mire soz-e-navā ko chhūte hī
hisār-e-zabt jo TuuTā to aañkh bhar aa.ī
dayār-e-ġhair meñ ik āshnā ko chhūte hī
lahū meñ Duub ke kāñTe bane charāġh 'zafar'
rah-e-vafā meñ ham āshufta-pā ko chhūte hī