Zafar Moradabadi

KHush-guman har aasra be-asra sabit hua

Zafar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1951
ḳhush-gumāñ har aasrā be-āsrā sābit huā
zindagī tujh se ta.alluq khokhlā sābit huā
jab shikāyat kī kabīda-ḳhātirī hāsil huī
sabr-e-mahrūmī mirā harf-e-duā sābit huā
be-talab miltī raheñ yuuñ to hazāroñ nemateñ
the talab kī aas meñ barham to kyā sābit huā
rū-ba-rū hote hue bhī ham rahe manzil se duur
ik anā kā mas.ala zanjīr-e-pā sābit huā
aah bhar kar chal diye sab hī tamāsha dekh kar
vaqt par jo DaT gayā vo devtā sābit huā
TuuT kar bikhrā mire dil se yaqīñ kā aa.ina
maiñ use samjhā thā kyā lekin vo kyā sābit huā
saañs jo aayā badan meñ thā vafā se ham-kanār
aur jab vāpas huā to bevafā sābit huā
sar ke shaidā.ī bahut māyūs mahfil se uThe
jab 'zafar' jaisā suḳhan-var be-navā sābit huā
Top Urdushayar.com