Zafar Moradabadi

tamam rang jahan iltija ke rakkhe the

Zafar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1951
tamām rañg jahāñ iltijā ke rakkhe the
lahū lahū vahīñ manzar anā ke rakkhe the
karam ke saath sitam bhī balā ke rakkhe the
har ek phuul ne kāñTe chhupā ke rakkhe the
sukūn chehre pe har ḳhush adā ke rakkhe the
samundaroñ ne bhī tevar chhupā ke rakkhe the
mirī ummīd kā sūraj ki terī aas kā chāñd
diye tamām hī ruḳh par havā ke rakkhe the
vo jis kī paak uḌānoñ ke mo'tarif the sab
jale hue vahī shahpar hayā ke rakkhe the
banā yazīd zamāna jo maiñ husain banā
ki zulm baaqī abhī karbalā ke rakkhe the
unhīñ ko toḌ gayā hai ḳhulūs kā chehra
jo chand aa.ine ham ne bachā ke rakkhe the
yūñhī kisī kī koī bandagī nahīñ kartā
butoñ ke chehroñ pe tevar ḳhudā ke rakkhe the
ga.e haiñ bāb-e-rasā tak vo dastakeñ ban kar
'zafar' jo haath pe aañsū duā ke rakkhe the
Top Urdushayar.com