Zafar Moradabadi

naqab usne ruKH-e-husn-e-zar pe Dal diya

Zafar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1951
naqāb us ne ruḳh-e-husn-e-zar pe Daal diyā
ki jaise shab kā añdherā sahar pe Daal diyā
samā.ateñ huiiñ pur-shauq hādsoñ ke liye
zarā sā rañg-e-bayāñ jab ḳhabar pe Daal diyā
tamām us ne mahāsin meñ aib DhūñD liye
jo bār-e-naqd-o-nazar dīda-var pe Daal diyā
ab is ko nafā kahīñ yā ḳhasāra-e-ulfat
jo daaġh us ne dil-e-mo'tabar pe Daal diyā
qarīb o duur yahāñ ham-safar nahīñ koī
tirī talab ne ye kis rahguzar pe Daal diyā
husūl-e-manzil-e-jānāñ se haath dho leñge
kuchh aur bojh jo pā-e-safar pe Daal diyā
jo ham-azāb thā us kī hī chhāñv meñ aa kar
ḳhud apnī dhuup kā lashkar shajar pe Daal diyā
bhaTak rahā thā jo asrār-e-fan kī vaadī meñ
uruuj de ke farāz-e-hunar pe Daal diyā
be-e'tidāl the ḳhud un ke ḳhatt-o-ḳhāl 'zafar'
har ittihām magar shīshagar pe Daal diyā
Top Urdushayar.com