Zafar Moradabadi

raat bhar suraj ke ban kar ham-safar wapas hue

Zafar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1951
raat bhar sūraj ke ban kar ham-safar vāpas hue
shaam bichhḌe ham to hañgām-e-sahar vāpas hue
jalva-gāh-e-zāt se kab ḳhud-nigar vāpas hue
aur agar vāpas hue to be-basar vāpas hue
thī hameñ malhūz-e-ḳhātir nek-nāmī is qadar
chuum kar nazroñ se un ke bām-o-dar vāpas hue
muzhda parvāz-e-adam kā hai ki rāhat kī naved
dam laboñ par hai to apne bāl-o-par vāpas hue
shauq-e-manzil thā kahāñ mujh sā kisī kā mo'tabar
do qadam bhī chal na paa.e ham-safar vāpas hue
kārvāñ se jo bhī bichhḌā gard-e-sahrā ho gayā
TuuT kar patte kab apnī shāḳh par vāpas hue
sub.h dam le kar chalī ghar se talāsh-e-rozgār
shaam ham ruḳh par liye gard-e-safar vāpas hue
zindagī meñ aa.iiñ sub.heñ aur shāmeñ bhī bahut
ahd-e-rafta ke kahāñ shām-o-sahar vāpas hue
āḳhirash bujh hī gayā hai ḳhush-gumānī kā charāġh
tum bichhaḌ kar phir kahāñ imkān bhar vāpas hue
ḳhush-gumānī kā bharam rakkhā na.ī pahchān ne
phir mire naġhmoñ meñ Dhal kar sīm-bar vāpas hue
hosh se aarī rahī dīvāngī apnī 'zafar'
bā-ḳhabar mahfil meñ rah kar be-ḳhabar vāpas hue
Top Urdushayar.com