Zafar Moradabadi

har intiKHab yahan mazi-o-aqab ka hai

Zafar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1951
har intiḳhāb yahāñ māzī-o-aqab kā hai
savāl merā nahīñ hai mire nasab kā hai
shu.ūr-e-lauh-o-qalam se zuhūr-e-mahfil tak
har ek be-adabī par libās adab kā hai
na koī daad na tahsīn sirf ḳhāmoshī
mire suḳhan pe terā tabsira ġhazab kā hai
ho ek fard to ho fard-e-jurm bhī aayad
sitamgarī to yahāñ kārobār sab kā hai
ugā nahīñ koī sūraj mire muqaddar kā
dinoñ pe jaise musallat itaab shab kā hai
tamām zahmateñ mere gunāh ke saa.e
tamām rāhateñ in.aam mere rab kā hai
zafar ġhazal hai ki zaḳhmoñ kī hāshiya-bandī
na ḳhāl-o-ḳhat kā koī tazkira na lab kā hai
Top Urdushayar.com