bārhā ThiThkā huuñ ḳhud bhī apnā saaya dekh kar
log bhī katrā.e kyā kyā mujh ko tanhā dekh kar
mujh ko is kā ġham nahīñ sailāb meñ ghar bah ga.e
muskurāyā huuñ maiñ be-mausam kī barkhā dekh kar
ret kī dīvār meñ shāmil hai ḳhūn-e-zīst bhī
ai havāo soch kar ai mauj-e-dariyā dekh kar
apne hāthoñ apnī āñkheñ band karnī paḌ ga.iiñ
nighat-e-gul ke jilau meñ gard-e-sahrā dekh kar
mere chehre par ḳharāsheñ haiñ lakīreñ haath kī
merī qismat paḌhne vaale merā chehrā dekh kar