Soz Barelvi

wafaon ke irade wusat-e-manzil mein rahte hain

Soz Barelvi

vafāoñ ke irāde vus.at-e-manzil meñ rahte haiñ
pas-o-pesh-e-sitam pesh-o-pas-e-mahmil meñ rahte haiñ
nuqūsh-e-rah-rav-e-manzil rah-e-manzil meñ rahte haiñ
chakoroñ ke nishān-e-ġham mah-e-kāmil meñ rahte haiñ
ġham-e-ishq-e-haqīqī be-asar ho jaa.e nā-mumkin
numāyāñ laġhzish-o-ra.asha kaf-e-qātil meñ rahte haiñ
jo armāñ lab pe aa ke mojib-e-qatl-e-ġharībāñ haiñ
vahī armān poshīda dil-e-qātil meñ rahte haiñ
hazāroñ kashtiyāñ us paar ho jaatī haiñ sāhil ke
hamāre vāste tūfāñ chhupe sāhil meñ rahte haiñ
hamesha zindagī kaTtī rahī tārīk rātoñ meñ
na jaane jvār-bhāTe kyuuñ hamāre dil meñ rahte haiñ
zamāna ke havādis se na Dar hargiz muqābil aa
jo ahl-e-dil haiñ duniyā meñ vahī mushkil meñ rahte haiñ
mai-e-rañgīñ surūd-e-shoḳh raqs-e-dil-rubā shab ko
sahar ko 'soz' furqat ke nishāñ mahfil meñ rahte haiñ
Top Urdushayar.com