Talib Husain Talib

gham-e-jahan mein gham-e-yar zam na kar paya

Talib Husain Talib

Mariabad, Balochistan, Pakistan

1980
ġham-e-jahāñ meñ ġham-e-yār zam na kar paayā
hazār kaam kiyā ''maiñ'' ko ''ham'' na kar paayā
mujhe sarāb meñ manzil dikhā.ī detī thī
so girte paḌte bhī raftār kam na kar paayā
vo din bhī dekhe haiñ maiñ ne ki ek luqma-e-tar
dahan tak aayā supurd-e-shikam na kar paayā
mujhe ye dukh ki bichhaḌne kā vaqt thā hī nahīñ
use malāl ki iz.hār-e-ġham na kar paayā
na paas koh-e-nidā thā na haath meñ bandūq
so lauh-e-vaqt pe dukhḌā raqam na kar paayā
kisī kā milnā, bichhaḌnā aur ek do bāteñ
tamām silsila zeb-e-qalam na kar paayā
ḳhudā kā aks aur us par jamāl-e-yār kā aks
faqīr mar gayā paanī pe dam na kar paayā
Top Urdushayar.com