chalte rahne ke liye dil meñ gumāñ koī to ho
be-natīja hī sahī par imtihāñ koī to ho
āsmānoñ ke sitam sahtī haiñ is ke bāvajūd
sab zamīneñ chāhtī haiñ āsmāñ koī to ho
mehrbānoñ hī se bach kar aa.e the tum dasht meñ
ab yahāñ bhī lag rahā hai mehrbāñ koī to ho
qahqahoñ ko yaad rakhtī hī nahīñ duniyā kabhī
is liye dukh kī bhī pyāre dāstāñ koī to ho
kar rahā huuñ maiñ daraḳhtoñ se musalsal guftugū
is ghane jañgal meñ 'dānish' ham-zabāñ koī to ho