Madan Mohan Danish

zidon ko apni tarasho aur un ko KHwab karo

Madan Mohan Danish

Ballia, Uttar pradesh, India

1960
zidoñ ko apnī tarāsho aur un ko ḳhvāb karo
phir us ke ba.ad hī manzil kā intiḳhāb karo
mohabbatoñ meñ na.e qarz chaḌhte rahte haiñ
magar ye kis ne kahā hai kabhī hisāb karo
tumheñ ye duniyā kabhī phuul to nahīñ degī
mile haiñ kāñTe to kāñToñ ko hī gulāb karo
siyāh raato chamaktī nahīñ hai yuuñ taqdīr
uThāo apne charāġhoñ ko māhtāb karo
ka.ī sadā.eñ Thikāna talāsh kartī huī
fazā meñ guuñj rahī haiñ unheñ kitāb karo
kisī ke rañg meñ Dhalnā hī hai agar 'dānish'
to apne aap ko thoḌā bahut ḳharāb karo
Top Urdushayar.com