de sako to zindagānī do mujhe
lafz to maiñ huuñ ma.ānī do mujhe
kho na jaa.e mujh meñ ik bachcha hai jo
yuuñ karo koī kahānī do mujhe
ham-zabāñ merā yahāñ koī nahīñ
laao apnī be-zabānī do mujhe
hai havā darkār merī aag ko
kab kahā us ne ki paanī do mujhe
ek manzil ne to 'dānish' ye kahā
rāstoñ kī kuchh nishānī do mujhe