sitāre jinkī bahut dekh-bhāl karte rahe
ham aisī saarī shaboñ ko nihāl karte rahe
hamāre rāh-numā bhī kamāl karte rahe
javāb denā thā un ko savāl karte rahe
magar nadī ne sunī hī nahīñ kināroñ kī
ye aur baat ki vo arz-e-hāl karte rahe
tamām raat mirī niiñd mujh ko Dastī rahī
tamām ḳhvāb mirī dekh-bhāl karte rahe
tamām umr tumhīñ mutma.in rahe 'dānish'
tamām umr tumhīñ the malāl karte rahe