ye maanā us taraf rasta na jaa.e
magar phir bhī mujhe rokā na jaa.e
badal saktī hai ruḳh tasvīr apnā
kuchh itne ġhaur se dekhā na jaa.e
ulajhne ke liye sau uljhaneñ haiñ
bas apne aap se uljhā na jaa.e
irāda vāpsī kā ho agar to
bahut gahrā.ī meñ utrā na jaa.e
hamārī arz bas itnī hai 'dānish'
udāsī kā sabab pūchhā na jaa.e