Madan Mohan Danish

hum apne dukh ko gane lag gae hain

Madan Mohan Danish

Ballia, Uttar pradesh, India

1960
ham apne dukh ko gaane lag ga.e haiñ
magar is meñ zamāne lag ga.e haiñ
kisī kī tarbiyat kā hai karishma
ye aañsū muskurāne lag ga.e haiñ
kahānī ruḳh badalnā chāhtī hai
na.e kirdār aane lag ga.e haiñ
ye hāsil hai mirī ḳhāmoshiyoñ kā
ki patthar āzmāne lag ga.e haiñ
ye mumkin hai kisī din tum bhī aao
parinde aane jaane lag ga.e haiñ
jinheñ ham manziloñ tak le ke aa.e
vahī rasta batāne lag ga.e haiñ
sharāfat rañg dikhlātī hai 'dānish'
ka.ī dushman Thikāne lag ga.e haiñ
Top Urdushayar.com