Madan Mohan Danish

ye mana nindon se aksar fareb khate rahe

Madan Mohan Danish

Ballia, Uttar pradesh, India

1960
ye maanā nīñdoñ se aksar fareb khāte rahe
hamāre ḳhvāb magar phir bhī jagmagāte rahe
vo saada log kahīñ ab nazar nahīñ aate
jo dūsroñ ke liye rāsta banāte rahe
ka.ī sitāre jinheñ āsmāñ satātā rahā
unheñ zamīn pe lā kar hamīñ sajāte rahe
hamīñ ne lamhoñ ko yakjā kiyā to raat huī
hamīñ bikher kar lamhoñ ko din banāte rahe
farishtoñ jaise hī hote haiñ tajarbe 'dānish'
tamām umr hamīñ rāsta batāte rahe
Top Urdushayar.com