Akhtar Hoshiyarpuri

manzilon ke fasle diwar-o-dar mein rah gae

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
manziloñ ke fāsle dīvār-o-dar meñ rah ga.e
kyā safar thā mere saare ḳhvāb ghar meñ rah ga.e
ab koī tasvīr bhī apnī jagah qaa.em nahīñ
ab havā ke rañg hī merī nazar meñ rah ga.e
jitne manzar the mire ham-rāh ghar tak aa.e haiñ
aur pas-e-manzar savād-e-rah-guzar meñ rah ga.e
apne qadmoñ ke nishāñ bhī band kamroñ meñ rahe
tāqchoñ par bhī diye ḳhālī nagar meñ rah ga.e
kar ga.ī hai naam se ġhāfil hameñ apnī shanāḳht
sirf āvāzoñ ke saa.e hī ḳhabar meñ rah ga.e
nā-ḳhudāoñ ne palaT kar jaane kyuuñ dekhā nahīñ
kashtiyoñ ke to ka.ī taḳhte bhañvar meñ rah ga.e
kaisī kaisī āhaTeñ alfāz kā paikar banīñ
kaise kaise aks merī chashm-e-tar meñ rah ga.e
haath kī saarī lakīreñ paañv ke talvoñ meñ thiiñ
aur mere ham-safar gard-e-safar meñ rah ga.e
kyā hujūm-e-rañg 'aḳhtar' kyā faroġh-e-bu-e-gul
mausamoñ ke zā.iqe būḌhe shajar meñ rah ga.e
Top Urdushayar.com