Zakariya Shaz

kis qayamat ki ghuTan tari hai

Zakariya Shaz

kis qayāmat kī ghuTan taarī hai
ruuh par kab se badan taarī hai
kaun ye sāya-fagan hai āḳhir
mere sūraj pe gahan taarī hai
baat kyā aur na.ī ham socheñ
jab vahī charḳh-e-kuhan taarī hai
sirf ham hī to nahīñ TuuTe haiñ
rāstoñ par bhī thakan taarī hai
'shāz' uḌtā hī chalā jaatā huuñ
kaisī ḳhushbū kī lagan taarī hai
Top Urdushayar.com