Zakariya Shaz

dukh na sahne ki sazaon mein ghira rahta hai

Zakariya Shaz

dukh na sahne kī sazāoñ meñ ghirā rahtā hai
shahr kā shahr duāoñ meñ ghirā rahtā hai
na bulāo to bulātā hī nahīñ hai koī
jis ko dekho vo anāoñ meñ ghirā rahtā hai
koī manzil hai ki duurī meñ chhupī hai kab se
koī rasta hai ki paañv meñ ghirā rahtā hai
dil ko fursat nahīñ miltī kabhī ummīdoñ se
ye sukhī 'shāz' gadāoñ meñ ghirā rahtā hai
Top Urdushayar.com