ye jo biphre hue dhāre liye phirtā huuñ maiñ
apne hamrāh kināre liye phirtā huuñ maiñ
tābish o taab liye aa.egā sūraj merā
raat bhar sar pe sitāre liye phirtā huuñ maiñ
barg-e-āvāra-sifat saath mujhe bhī le chal
tere andāz to saare liye phirtā huuñ maiñ
ye alag baat churā letā hai nazreñ apnī
us kī ā.ankhoñ meñ nazāre liye phirtā huuñ maiñ
kohr meñ Duubī ye sarmā kī saver ai duniyā
tum samajhtī ho tumhāre liye phirtā huuñ maiñ
jaane kyā baat hai puure hī nahīñ hote haiñ
jaane kyā dil meñ ḳhasāre liye phirtā huuñ maiñ
phuul hoñToñ pe hañsī ke haiñ mahakte hue 'shāz'
aur sāñsoñ meñ sharāre liye phirtā huuñ maiñ