mohabbat ek aisā rāsta hai
chalo jitnā ye itnā rāsta hai
havā hai dhund hai aur tez bārish
pahāḌī hai zarā sā rāsta hai
kabhī uktā gayā maiñ ḳhud hī ḳhud se
kabhī apnā hī dekhā rāsta hai
zamāne ho ga.e haiñ chalte chalte
kahāñ jaatā ye dil kā rāsta hai
kahīñ sāñseñ chaḌhā detā hai merī
kahīñ āhista chaltā rāsta hai
vahī oḌhī huī hai dhuul ab tak
vahī pairoñ se lipTā rāsta hai
ye kaise moḌ par maiñ aa gayā huuñ
ki chaltā huuñ to chaltā rāsta hai
mohabbat hausla hai apnā apnā
kahīñ manzil kisī kā rāsta hai
sabhī kī apnī apnī manzileñ 'shāz'
sabhī kā apnā apnā rāsta hai